Tuesday, December 13, 2011

Peace


Q: Could you tell me how to choose between two roads. I am in a very difficult time of my life and I don’t know what to do. 
Sri Sri : Don’t worry, I am with you. Give me all your problems and keep smiling and I tell you all will be well. Little time it may take but be strong in your faith, in your connection, things will move....


Another reason to do kriya.... 
Q: Guruji, those who have found their guru in this birth, if for any reason they are unable to attain mukti, are they able to find their guru in the next life time or do they have to wander aimlessly?
Sri Sri Ravi Shankar: No, no! Arjun asked this very same question, 'What if I am unable to walk this path of yoga in this lifetime?' 
So Krishna answered, ‘Nahi Kalyana Krit Kaschit Durgatim Taata Gachchati’ - One who performs noble acts will never go down, will never be miserable in this world or the next. 
You will always ascend to higher planes of existence. You will be born in a noble or wealthy household, and on account of the memory of your past deeds, you will resume from where you had left off. So do not worry. Your Kriya and sadhana will never go to waste.

Sunday, September 18, 2011

Lines from heart






Zindagi ek pehchaan talashti hain, 
Har saas Zindagi ko aage badhati hain,
Har beete lamhe ke gheraiyoon mein jaakar dekho zara,
Tumhari Ek EK saas tumhari pechaan batati hain,
Zindagi ek pechaan talasti hain




Sapnoo mein dekha hain aashaoon ko saach hote hue
Sapne haqikat hote ha ya phir roohh ki tarah inka bhi kuch pata nhii
Ashaaye hum kudh talashte hain, inhe paane ka jasba bhi rakhete hain
Zindagi aashaoon ke aashiyaane mein reh kar chalti hain
Jo zindagi saach hai to aashaye bhi saach hoti hain, poori hoti hain
Sapne dekhna mat chodo, asshaoon ko inki bhi jaroorat hoti hain
Sapnoon me dekha hain aashaon ko saach hote hue..... 


Raaste ki talash mein gujjar raha tha kahin se
Kafiyoon ko bhatakte dekha tha, dhere dhere se kadam the mere
Ek hawa ke jhoke se tez ho gaye the wo, na pata na thikana tha uska
Sehma sa chal rha tha main pta nahin kis viswas pe,
Dare bina apne housle se bandha chalta raha uspe,
phir mila wo raasta jiske talash thi mujhe
Sukhriyaan uss anjaan jhooke ka,
na jaane kaha se tha wo
Par anjaane me mujhe anjaano pe bharoosan karna sikha gaya wo
Raaste ki talash mein gujjar raha tha kahin se



Din se raat tak dhouee se raakh tak
Sab badal raha hain, sab naya naya sa hain
Puraana kuch bhoola sa hain,
Kya kuch purana hai be ya nhin-
Kaho to yeh taaree yeh zamee yeh asmmaa
Abhi dekha hi kitna hain ya dekhnege, Hum bhi to shayad nayee hain
Lagta hai sab poorana hi naya hain, bas uss puraane ko jaise abhi dekha hain


Har lamha zindagi ka tumse ho,
Kashish hai har saas mein tumse milne ke,
Shaam hai kuch dhua dhua se tumhare bina,
Din tumhare intezaar me tha, shayad raat bhi na soo sakegi;
Ab har lamha tumhara pata poochta hain,
bas ek hi khayal ab mujhe ata hai,
har lamha zindagi ka tumse ho,




Kaii lamhe beet gaye yuhi chalte chalte
kaii nagme likh diya kitaboon mein uhi baithe baihte
Phir bhi zindagi ke suroon mein kuch kami se thi
Kuch nagme abhi adhoore the
Unn sabhi mein kuch khaas tha, ek dost ke na hone ehsaas tha
Kitni adhoori se hoti hai har shaam bina doosti ke-
ab robaroo ho paya ho isse,
Mere kitne nagme ya fir zidagi ke poori kitab he adhoori thi bina iske
Kaii lamhe beet gaye yuhi chalte chalte



Mere khuda mujhe itna bata kya chand mera bhi hai,
Chandani aasma  se ate hai aur  mujhe kuch mehsoos karati hai,
Kabhi aisa lagta hai ki iss aasman ke har rang mein kuch raaj hai,
Jo kehna chahhe par keh na payee,
Mere khuda bas itna bata kya aisa hi hota hain pyaar,
Iss kaale rang me mujhe rakh le ki dekh sakon mai uss chand ko jiski chandani mujhse aksar khelte  hain,
Phir chahe subah ka suraj cheen le mujhse....
Uss chandani ko thamme kai hatoon se millonga teri madhbari ratoon se,
Har nai ada se sataygi wo chandani mujhe, 
Darr lagta mujhe tere nisha se par, phir bhi tere ane ka intezaar karta hoon,
Jaane anjanne me koi tere dil to na dukhaya tha, tujhpe ye jaan nisaar karta hoon,
Sunnn le sada yahi hai mere kwahish,
Kya tu phir se laut ayega mai ye sooch khudh ko bekarar karta hoon..
Nazroon meinn wo hai aur tera andhera, mere dhadkane isse bayaan karte hain,
Mera chand mujhe ata hain nazar badaloon me chippa muskurata,
Par ab dil doodhta hai uski chandani ko,
Mere khdua.....




Ek Sarsarrati hawa  mujhe choo ke nikal gayi
Bachpaan ke yaddon ko phir utha gayi
Chehre pe phir wahi muskuraahat thi
Yaad aate hain wo din Jab subah ek mithi awaaz se hoti thi
School ka samay hota tha aur neend ka time hota tha
Ek sparsh sa humme jagata tha
Barossa dilata tha- bas aaj jaana hain kal chutti hain
Abhi bhi yaad hi wo pyaar ke paraathe
School se thakkar laute to pyar se koi puchee- ajj kaisa raha
Aur baas mai halka sa muskara deta
Aaj bhi school jaisa hi kuch hai
Bas wo Pyaar ke parate aur Sparsh nii hain
Soochta hoon kabhi wo sab phir wapus aayega
Uss sarsarti hawa ka pata poochta hoon
wo phir kab ayegi
ye sarsarati hawa phir sab yaad dilayegi


Neela hai aasman aaj,
aaj jaisa neela hamesha to nii hain
kal tha kala, aur uske pehele safed
kitne rang hai iske, kya yeh iske apne hain;
Suna to tha aamsan neela hain
Aur sab ke baat maan leta hain
Kabhi aandhi ki, to kabhi badal ki, to kabhi suraj ki;
par jab yeh sab nahin to yeh neela hota hain
Shayad seekh sakhe iss aasmaan se hum
Waqt se hum kitne bhi badle
apne aap ko na bhool sake hum



9/09/11  3:54 AM
zindagi zyada kuch nhaii mangti
phir bhi haraniyaan liye chal rahein hain hum sab
Kyun betaab hain hum sab itne
Dhadkane gin ke thakee nahin hum sab
Sukriyaa karna bhool, zindagi pe ehsaan jatan seekh gaye hum sab
In haraniyonn beataabiyon se door hokar dekho jara
zindagi ke tum phir bhi pass ho
Wo ab bhi tumhari mohtaaz nii hai
zindagi jayada kuch nii bas tumko  hain mangti


23/09/11  6:15 PM (During a ppt)
Oss Ki bundee jaisee gulaab pe padti hain,
Suraaj ki roshanee jaise unhe moti banatee hain,
Tumhara Muskurana mere liye kuch aisa hain,
Muskurahat jaise kushi ke aasu laa dete hain,
Aur pyaar tuhara unhe moti mein tabdeel kar deta hain,
Dekho to lagta hain-
Oss ki bundee Jaise gulab pe padti hain.....


25/09/2011 2:20PM
Kudh se ya Kudha se kabhi poocha nahin,
Kyun aaye hum yaha pe-
Zindagi ka natak to chal raha hai kab se,
Pardee abhi uthne hai, nayee log abhi aane hain,
Aage ka likha hain, ya sab likhna hain- pata nahin,
Kabhi dukh toh kabhi sukh ata hain,
Log milke bechaad jaatein hain,
Aakhir mein kya hoga pata hota agar,
Shayad ek sa lagata dukh sukh idhar,
Isliye chupp hoon main aur shayad kudha bhi,
Par jehaan mein abhi bhi sawal wahi ata hai-
Kyun aaye hum yaha pe.......



kabhi kabhi  ankehin kuch keh jaatein hain
dil mein lehre utha jaati hain
samjh le duniya mein ase hi hota hai
kyn tu yeh pal khota hain
aye yaar mere tu kyun roota hain
lehre ko kya tu toh kud samandar hai
tere yeh aasu, har yeh pal tere sab se anoml hai
in sab ko tu kyon khota hain.......



Ab jo dil se dard choota hai to kuch kar dikhana hain
inn laboon ko phir se muskurana hain
laut ke aynege kya ab pata nii
sarhad par ab kuch kar dikhana hain - muskurana hain
bahut soo liye hai ab tak iss thand mein
ab  sapnoo mein aur nii rehna hain
sab hakikat mein kar dikhana hain- muskurana hain
bass kudh ka khayal rakhna hain..
gamm choo na saake humme bas iss tarah muskurana hain, kuch karna hain........

23/11/2010

Pighalti soone se suraj ki dhoop, uski roshani
ankhoon se jo yeh guzarti hai ek ajab sa ehsas karati hain
kuch hai purana tumse aisa, tumhari roshani aisa jatati hai
pighalte nilam sa aaksah  kuch kehta rehta hai mujhse
hawaien chupke se kuch ishara karti hain
kabhi lagta hai in sab se kuch gehra sa rista hai
kuch apna sa hai inke beech
Har pal har waqt har ghadi yeh saath hain
yeh pigalta suraj uski roshani, yeh nilam akkash, yeh mehakti hawa.......

27/11/11  4 a.m.
Udtee hue armaan hain, panchiyoon se iss mann mein, iss aasmaa mein
Kaha se aye hain, kitna aur udte jayenge
Mere saath chalein yeh, mujhe le ke udee yeh - kaha mujhe le jayenge
Raasta bhi shayad khud doondh lenge
Yeh asmaa mein udtee armaan mere,
Roz nii udaan bhare yeh- yeh panchii mere
Shaam ko ghar laut aye, Raasta na bhool jaye ye- Bas itna kehta hoon
Yeh Udtee  armaan, mere mann ke akaash mein.....



30/11/11
Sama sa bandha hai, palkein ruki se, kuch hum khoye se hain
pani se asoon nikal rahein hain, kiase to koi roke inhe
aaj tu laut jaa re, mann kahe yeh mera
aaston ko behne do, bas inhe aaj behne do
pyaasein hai hum inko gira ke
pyaasein hai aaj pyaasein hi rehne do
mega tu bhi laut ja re, ghar samandar bhool gaye hai asoon mere
in asoon ko behne doon, bas behne do
aaj pyaseein hai hum....pyaseein he rehne do



Jeevan ek rangoli hain,
jisme kuch rang phike hain,
kuch to ghade sundar hain,
aur kuch rang chamkele hain,

kya hain sona ya jagne,
na bistar na ghar apna,
muthii mein kuch ho na hoon,
Inn aankon mein haisapna,

Asson sab mit jayenge
din aesee bhi ayenge
jab rok sakega na koi
bas aange badte jayenge




Labz joo keh na sake mere
Kehta hai wo dil agar suno tum toh
Kuch Gehere awazaeen hai, kuch gehre se sanaatoon mein khoi hui
Inko mehsoos karo jara tum
Har gali har naye mood pe tumse judi ek  kahani hai
Sun sako, mehsoos kar sako, agr  innko tum
Beh rahein hai yeh hawaoon ke saath
pass se gujre yeh tumhare, aur tum muskura do
Yeh galiyaan, yeh modd ,yeh awazeen uss kushi ka raasta dekh rahi hai
bus tum muskura do....